Friday, January 04, 2013

eleven years

pas e salasil
sakoot ki yeh manzil
k aahat na wujood
per kucch sunai na de

her ik sada e be-karan se pooche mera dil
koi hai, dushman e rug e jaan?

'nahin, koi nahin'

aur zindan k talismon se parey
aik taraf
nigah bhatke toh wohi mujra e shauq
wohi bazaar e taqseem e sood o ziyan
wohi bikte huye jism, be-hiss, uriyan

mata'a e havas
bikne ki chashni maangey
her aik ang
lazzat se aagahi maangey
barehna hirs
shohrat ki roshni maangey
sharminda chashm
chhupne ko teergi maangey

toh paltey

aur phir wohi dildar qafas
kamal e zabt bamuqabil e sarkashi maangey
nazar daraz, sama'at ki tishnagi maangey
hisaar e nafs mein sirf aajizi maangey

aisa ho taqaza e bandagi k ab
ashk
takreem e hasrat o nung mitana chahein
aankhein
roodad e safar bhulana chahein

aisa rahey hungaam e khalvat k junoon
her ik saans mein ho
aur kucch sunai na de

dil sawal karey
besakhta
qafas ki shorish se
koi hai, raqeeb e jan e janan?

'nahin, koi nahin'

2 comments:

psycho sid said...

as compliments not expressed in words, i shed a few tears ..

Hasni Khan said...

tears are closest to the heart of a poet :)