Monday, January 04, 2010

eight years

meray dil, meray musafir
hua phir se hukm saadir
keh watan-badar hon hum tum
deyn gali gali sadayein
karein rukh nagar nagar ka
keh suragh koi payein
kisi yaar e nama-ber ka
herr ik ajnabi se poochein
jo pata thha apney ghar ka
sir e koo e nashanayan,
hamein din se raat karna
kabhi iss se baat karna
kabhi uss se baat karna
tumhein kya kahoon keh kya hai
shab e gham buri bala hai
hamein yeh bhi thha ghaneemat
jo koi shumaar hota,
hamein kya bura thha marna
agar aik baar hota?!

- faiz