Friday, January 04, 2008

six years

utth
dekh
keh woh khaak jo rangeen huyee
teray khoon se uss bhayanak lamhey
nahi rahi
bik gayee

aur woh mitti
keh jis ka rizq bana tera badan
saakit hai,
ik afsurdah khwahish liye
ik murdah khwab liye

aur goonj rahi hain falak-bos aahein,
khamoshi se
kayee pardon mein
teri yaad ka nauha kehtay

aur aansoo
jo keh khushk hain kayee barson se
beh parrey hain achanak
kayee sawal liye

per dekh,
ay bujhey huye dil,
teri raggon ka lahu
daur raha hai kis dhaj se
unn jismon mein,
aur wohi payrh
keh jiss ki chhaoon talley
teri jawani ko kaisa haseen urooj milla
jhukka diya hai ussi ko teri furqat ne
kerta hai wohi teri yaad ki rakhwali
keh khud jo muddat se kayee mausamon ki zad mein hai

khuda karey keh yeh saya sada salamat ho
luttey naseeb mein chalo itna toh manzoor rahey
aur kucch nahi chahiye hai qismet se
rahatein millein na millein
ammaan manzoor rahey