Monday, November 05, 2012

vehshat e shab

raat se raat ka yoon fasana kehna
jaise apne hee halaat ko begana kehna

rudad e wasl ki rahat moasar hai k yoon
pehlu e yaar, shab e purkhar ka tarana kehna

wajh e zuhd apni hee ghilazat ka wuzu
wajh e wuzu pevasta e zamana rehna

deen o dil k tasadum se barh ker hai kathin
aatish a nafs ka ausaan se yarana sehna

muztarib dil kahan thhera hai bina e tauqeer
nazr e darya karo ye farsooda, purana gehna

shab e zulmat bhi hai, hosh o havas ki mehfil bhi
fana ka kaisa haseen rung hai anjana rehna

hazaar ma'ani e dauran pe gawara hai mujhe
ishq e Hussain ibn e Ali mein deevana rehna

chamak raha hai qamar badosh e shams e zuha
ain e fitrat hai issi noor ko yagana kehna

2 comments:

psycho sid said...

this has to be one of the best piece of yours .. i have no clue how to tell you how outstanding this is .. i guess you've kinda outdone yourself ! *salute*

Hasni Khan said...

thou art too kind :)