Monday, November 28, 2005

well of wisdom

had written a whole fricken piece that was lost in electricity fluctuation. aur energy nahi hai phir se likhne kee woh saaree qawali. buss yeh yaad hai:

itne sadme utthaye hain mein ne
sir utthane ke qabil nahi hai

aur yeh bhee aaj kee tamaam guftugu urdu mein honee thee. aur yeh waqayah bayan hooa keh Maula ne kaha, 'Mesum, herr raat meray paslion ke darmian aik toofaan sa utthta hai jo bahar aana chahta hai, per mein majboor ho kerr usse aik koon'ein mein daal ata hoon.' phir Meesam ne poocha, 'Amir-ul-Momineen, yeh kaun sa aisa toofaan hai jo keh aap ko itna majboor aur be-chaen kerta hai?' toh Maula ne jawab diya, 'yeh ilm ka toofaan hai Meesum, jo bahar aane ke liye tadapta hai, perr dunya mein koee samajh rakhne wala nahi!' i cant seem to figure out its connection with what i was writing, but it is beautiful nonetheless and i will keep it. baqi ab kucch samajh nahi aa rahee; lagta hai frequency kum karnee pare gee. waqt aya hai apne qadmon per khade honay ka which is the last thing i want to do iss halat mein. lekin kya karein, bardasht karna pare ga. bohat zaroori hai yeh bhee zindagi mein. yeh sala weird al pata nahi kya chahta hai? accha, iss se pehle keh mein gharq ho jaoon, let me take my leave on a wanjhli dee mithdi taan. i still have to mourn the loss of such effort on extraction of lyrics from qawali. lekin haan yeh bhee kehna thaa:

aaye kucch abr, kucch sharaab aaye
uss ke baad aaye jo azaab aaye

and why the fuck is that picture always on?

No comments: