Khud aap jo likhey hain aankhon ka taraana
Ye dil liye jaye kahan lachaar divaana?
Inn aankhon ki midh ho gi kya bandey bashar se?
Jin aankhon ka mol nahi saara zamaana
Inn aankhon ki masti k mastaney toh hazaaron
Par jal k mar jaaney ko bas aik parvaana?
Roodad mujh se pooch na akhyon k milan ki
Qissa alam naak hai, garchey hai suhana
Woh baat jo tere ang ang ne mujh se chhupayi
Bebaak teri aankhon ne keh daala fasaana
Akhyon se lari akhyan toh akhyan huyeen purnam
Ik roag umr bhar ka banna, akhyon ka laraana
Bemaar meri rooh hai, tere dar pe hee khari hai
Aur tu hai k kehta hai, mar jao, tab aana
Roohon ka milan na sahi, jismon ka hee ho le
Maana k dil mar chukey, jism toh hain tawaana
Ashiq ki nigah aur hai, mullah ki zubaan aur
Bas chashm e khuda aik hai, yakta o yagaana
Dil e vehshi se kaho tark karey nala o faryad
Harjayi hai aisa, na apna hua, na hee begaana
No comments:
Post a Comment