Sunday, November 17, 2013

birthday '13

ajab hai vasl mein ye bhi andaam e khu hona
makeen e naar so hona, tappish ki aarzu hona

nazar gudaaz, badan majrooh, soorat ashk aalood
namaaz e ishq mein laazim hai ba-wuzu hona

sakoot e shab aur hungaam e bosa e rukh e yaar
mumkin ho kahan dil e zaar se guft-o-gu hona

har gham zamaane ka jo ho gosha e gham e dil
bohat ma'asoom hota hai ye mojza e aansu hona

kisi maar e sangh kharaash ki kya auqaat o wujood?
likha qismet mein ho gar nazrana e gaysu hona

sabhi havaadis e lazzaat se charagar ho kar
jigger ka kaam hai ayeeneh k roobaru hona

jab ishq hee rehta ho beniaz e sood o zayan
munajat mein kyun ho naffey ki justoju hona?

har zeest k maare se bekhauf ye keh doh
jila hai zeest ki raahon mein be-aabru hona

khwab toot gaye, thehr gayi mohabbat ki mehak
khiraaj e umr hua behr e Mazloom surkhru hona

2 comments:

psycho sid said...

absolutely beautiful Saeen ! and I'm glad you are still keeping your tradition alive !

Hasni Khan said...

u think so?! I almost had to force this one out.