Sunday, June 16, 2013

the broken anchor

kafan ki narm panahon mein se mumkin ho toh sunn
lehd k pak ujaalon mein se dikhta ho toh dekh

k gulistan e bazurgan pe jo guzri hai woh razm
kisi khamosh qayamat se kaheen kam toh nahi
her jhutlai huyi ah
pathrai huyi chashm
samaan e girya o maatam se kaheen kam toh nahi

sukarti khaak mein khoya hai laal e mehr o wafa
muneem e hashr sajaye hai dukanein apni
hissaar e haibat e gham ki faseelon per
naag o gurg ne taani hain kamanein apni

havas uriyan hai
aur azmaton ka laasha hai
shareef e waqt ka kaisa
zauq e tamasha hai?!

havaas bakhta hain sab sapoot e maslak e haq
yaqeen ka marqad hai, takht nasheen hai shak

koi toh ho jo samjhaye inhein sultani k umoor
aye khurshid siffat saakin e rehmat o noor
paya tu ne toh aaghosh e muwadat mein suroor,
mureed e Ghazi e be-kas, Asadullah k huzoor
per
koi jhalak teri reh jaye yaan bhi toh zuroor
dafn ho jaye kaheen duur
yeh fitna
yeh fatoor

warna ik zulmat si hai
her aan charhi aati hai

khizan deti hai dastak bar dar e shehr e yaar
ik maut si zardi hai, roothi hai bahar
her nafs pe taari hai khud parasti ka khumar
aankhein be-noor sabhi aur dushman hain hazaar

ye reet agar yoonhi chali aaye gi
saza e tangi e dil qabr talak jaye gi

sada tab bhi shayad yahee aaye gi

k kab ho jo koi tujh sa jahan mein aaye
kaun ho k teri dhaj se la-makan mein utrey?

No comments: