aik bhooli bisri muddat k baad
iss be-jaan dil ka koi anjan kona
zindagi ki aik bekhauf lehr se thharra raha hai
jaisey
koi khud-dar shama
her simt k toofanon k beech
machley
per bujhey nahi
jaisey
kisi khar-dar payr ka koi badmast phool
apne ander mehak basane ki saazish ker le
aur kaanton ki baat na ban paaye
lekin
woh shama
yeh phool
muntazir hain tumhare
keh tum aao
inn kaanton se laro
unn toofanon ka rukh badal daalo
aur zindagi ko jila do
per dekho
aa ker agar
tumhare qadam larkharaye
ya in berehm dushmanon ko tum
dekh hee na paaye
toh samajh lena
keh zindagi phir haar gayee
aur iss baar uss ka maseeha
koi na ho ga.
1 comment:
i love it...
Post a Comment