koee din gar zindagani aur hai
apne jee mein hum ne thhani aur hai
atish-e-dozakh mein yeh garmi kahan
soz-e-gham haaye nihaani aur hai
baar ha dekhi hain unn ki ranjishein
per kucch ab ke sir girani aur hai
dey keh khat muun dekhta hai namabar
kucch toh pegham-e-zabani aur hai
ho chukeen Ghalib balayen sab tamam
aik marg-e-nagahani aur hai...
No comments:
Post a Comment