bohat thak gaya hoon mayn
ussi ik rah pe chaltey
girtey
sambhaltey
dhool khaatey
aur phir girtey
bohat thak gaya hoon mayn
safar zindagi ka talkh hee hai hamesha se
umeedon k saharey kat-ta bhi nahi
ma'aloom hai mujh ko
per tum aaye
aur lamhon mein
ka'ee se khwab bunn bethay
ka'ee sawalon k kitne rangeen jawab chun bethay
machal utha dil ye bhi
nakaam o nakara
barson baad mila iss ko
jeenay ka koi chara
per ye woh dil hai jo zindagi bhi
mer mer k jeeta hai
zindagi ki her ramak se
der der k jeeta hai
bolay tum meray be-chayn dil pe haath yoon rakh k
huns k, madhosh ho k, mast nazrein chaar ker k:
'sab theek hoye ga'
uth para mayn bhi phir safar ki tayari mein
dikhne laga rung, khuda, khushbu
tumhari yaari mein
ab aaye koi bhi toofan, dekha jaye ga
girey sir pe chahay aasman, dekha jaye ga
ma'aloom kya thha k tumhare saans ki mehak
tumhare honton ka ras
baney ga woh zehr e qaatil jis se
issi nadar musafir ka jigar chaak ho ga
woh khwab jo basaye tum ne meri aankhon mein
bikhar jayein ge raahon mein
raiza raiza ho k
kaanch ki kirchion ki tarah
khoon-khwar kaanton ki tarah
ab inhi raahon mein din raat kata kartey hain
tamasha dekhne waley
ji bhar k mujh pe hanstey hain
chalta hai yoonhi nok e sina be-bas saans ka raqs
khoon behta hai magar aisey k dikhta bhi nahi
dil woh hai k kisi tor bhi bikta hee nahi
bas yahee aag ka safar hai,
aur tanha mein
apni bejaan umangon k laashey gintey
dil k veeraney ko jazbat ki dafan-gah kartey
thak gaya hoon
bohat thak gaya hoon mayn.