chup chaap rahey dekhte tumhari janab mein
ghairon pe nazr e kar'm rahi lutf e shabab mein
safaid o syah ki bheer mein utthi yeh ik sada
koi toh ho jo rung bharey dil ki kitab mein
gar zindagi k taar ulajh jayein bhi toh kya
likh do tamam uljhanein meray hisaab mein
aayeenay ka aks fareb o makar na ho
kabhi rung apna dekh aks e sharaab mein
keh ker k haal e dil woh muntazir rahey
k hum bhi kahein unhi ka qaseeda jawab mein
Ghalib ki pairvi mein hoon shaida e yaar e dost
mashghool e haq hoon bandagi e Bu Turab mein